contradictions

The name says it all.This is all about the contradictions and how the word "contradict" varies from each aspect.

Monday, November 22, 2004

Aarzoo

aik aarzoo hai
aik khuwahish
aik chaah rakhta hoon
apnay dil mein, is jism mein

aik khushi chahta hoon
aik dharakti kiran ka talabgar hoon
sun rahay ho na?
tum kyun sunoh gay.

tum ne apnay waday torhay
tum ne apni haqeeqatoun ko jhoot qaraar deeya
tum ne apnay mureedoun ko dhoka deeya
tum meri kiya suno gay?
tum toh khud aarzoo rakhtay ho.

tum Khuda ki baatein kero
mein Khudai ki baatein kerta hoon.
Aik far'q hai, aik choti si tabdeeli.
aur tum kiya jano.

tum hee toh ho.
tum hee thay na?
jab na waqt tha na arz?
tum hee ho gay na?
jab na waqt ho ga na arzoo?
na sub'h, na raat ki woh tareeki, woh ghuttan?
tum hee toh ho.
ho na?

0 Comments:

Post a Comment

<< Home